Sab Log Jidhar Wo Hain Udhar Dekh Rahe Hain

sab log jidhar wo hain udhar dekh rahe hain

hum dekhne walon ki nazar dekh rahe hain

tewar tere ai rashk-e-qamar dekh rahe hain

hum sham se aasar-e-sahar dekh rahe hain

mera dil-e-gum-gashta jo DhunDa nahin milta

wo apna dahan apni kamar dekh rahe hain

koi to nikal aaega sarbaz-e-mohabbat

dil dekh rahe hain wo jigar dekh rahe hain

hai majma-e-aghyar ki hangama-e-mahshar

kya sair mere dida-e-tar dekh rahe hain

ab ai nigah-e-shauq na rah jae tamanna

is waqt udhar se wo idhar dekh rahe hain

har-chand ki har roz ki ranjish hai qayamat

hum koi din us ko bhi magar dekh rahe hain

aamad hai kisi ki ki gaya koi idhar se

kyun sab taraf-e-rahguzar dekh rahe hain

takrar tajalli ne tere jalwe mein kyun ki

hairat-zada sab ahl-e-nazar dekh rahe hain

nairang hai ek ek tera did ke qabil

hum ai falak-e-shobada-gar dekh rahe hain

kab tak hai tumhaara suKHan-e-talKH gawara

is zahr mein kitna hai asar dekh rahe hain

kuchh dekh rahe hain dil-e-bismil ka taDapna

kuchh ghaur se qatil ka hunar dekh rahe hain

ab tak to jo qismat ne dikhaya wahi dekha

aainda ho kya nafa o zarar dekh rahe hain

pahle to suna karte the aashiq ki musibat

ab aankh se wo aaTh pahar dekh rahe hain

kyun kufr hai didar-e-sanam hazrat-e-waiz

allah dikhata hai bashar dekh rahe hain

KHat ghair ka paDhte the jo Toka to wo bole

aKHbar ka parcha hai KHabar dekh rahe hain

paDh paDh ke wo dam karte hain kuchh hath par apne

hans hans ke mere zaKHm-e-jigar dekh rahe hain

main 'dagh' hun marta hun idhar dekhiye mujh ko

munh pher ke ye aap kidhar dekh rahe hain

(4702) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sab Log Jidhar Wo Hain Udhar Dekh Rahe Hain In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Sab Log Jidhar Wo Hain Udhar Dekh Rahe Hain is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Sab Log Jidhar Wo Hain Udhar Dekh Rahe Hain for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Sab Log Jidhar Wo Hain Udhar Dekh Rahe Hain in PDF.