Saf Kab Imtihan Lete Hain

saf kab imtihan lete hain

wo to dam de ke jaan lete hain

yun hai manzur KHana-virani

mol mera makan lete hain

tum taghaful karo raqibon se

jaanne wale jaan lete hain

phir na aana agar koi bheje

nama-bar se zaban lete hain

ab bhi gir paD ke zof se nale

satwan aasman lete hain

tere KHanjar se bhi to ai qatil

nok ki nau-jawan lete hain

apne bismil ka sar hai zanu par

kis mohabbat se jaan lete hain

ye suna hai mere liye talwar

ek mere mehrban lete hain

ye na kah hum se tere munh mein KHak

is mein teri zaban lete hain

kaun jata hai us gali mein jise

dur se pasban lete hain

manzil-e-shauq tai nahin hoti

Thekiyan na-tawan lete hain

kar guzarte hain ho buri ki bhali

dil mein jo kuchh wo Than lete hain

wo jhagaDte hain jab raqibon se

bich mein mujh ko san lete hain

zid har ek baat par nahin achchhi

dost ki dost man lete hain

mustaid ho ke ye kaho to sahi

aaiye imtihan lete hain

'dagh' bhi hai ajib sehr-bayan

baat jis ki wo man lete hain

(1163) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Saf Kab Imtihan Lete Hain In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Saf Kab Imtihan Lete Hain is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Saf Kab Imtihan Lete Hain for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Saf Kab Imtihan Lete Hain in PDF.