Ye Baat Baat Mein Kya Nazuki Nikalti Hai

ye baat baat mein kya nazuki nikalti hai

dabi dabi tere lab se hansi nikalti hai

Thahar Thahar ke jala dil ko ek bar na phunk

ki is mein bu-e-mohabbat abhi nikalti hai

bajae shikwa bhi deta hun main dua us ko

meri zaban se karun kya yahi nikalti hai

KHushi mein hum ne ye shoKHi kabhi nahin dekhi

dam-e-itab jo rangat teri nikalti hai

hazar bar jo manga karo to kya hasil

dua wahi hai jo dil se kabhi nikalti hai

ada se teri magar khinch rahin hain talwaren

nigah nigah se chhuri par chhuri nikalti hai

muhit-e-ishq mein hai kya umid o bim mujhe

ki Dub Dub ke kashti meri nikalti hai

jhalak rahi hai sar-e-shaKH-e-mizha KHun ki bund

shajar mein pahle samar se kali nikalti hai

shab-e-firaq jo khole hain hum ne zaKHm-e-jigar

ye intizar hai kab chandni nikalti hai

samajh to lijiye kahne to dijiye matlab

bayan se pahle hi mujh par chhuri nikalti hai

ye dil ki aag hai ya dil ke nur ka hai zuhur

nafas nafas mein mere raushni nikalti hai

kaha jo main ne ki mar jaunga to kahte hain

hamare zaiche mein zindagi nikalti hai

samajhne wale samajhte hain pech ki taqrir

ki kuchh na kuchh teri baaton mein fi nikalti hai

dam-e-aKHir tasawwur hai kis pari-wash ka

ki meri ruh bhi ban kar pari nikalti hai

sanam-kade mein bhi hai husn ek KHudai ka

ki jo nikalti hai surat pari nikalti hai

mere nikale na niklegi aarzu meri

jo tum nikalna chaho abhi nikalti hai

gham-e-firaq mein ho 'dagh' is qadar betab

zara se ranj mein jaan aap ki nikalti hai

(1331) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Baat Baat Mein Kya Nazuki Nikalti Hai In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Ye Baat Baat Mein Kya Nazuki Nikalti Hai is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Ye Baat Baat Mein Kya Nazuki Nikalti Hai for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Ye Baat Baat Mein Kya Nazuki Nikalti Hai in PDF.