Zahid Na Kah Buri Ki Ye Mastane Aadmi Hain

zahid na kah buri ki ye mastane aadmi hain

tujh ko lipaT paDenge diwane aadmi hain

ghairon ki dosti par kyun e'tibar kije

ye dushmani karenge begane aadmi hain

jo aadmi pe guzri wo ek siwa tumhaare

kya ji laga ke sunte afsane aadmi hain

kya juraten jo hum ko darban tumhaara Toke

kah do ki ye to jaane-pahchane aadmi hain

mai bund bhar pila kar kya hans raha hai saqi

bhar bhar ke pite aaKHir paimane aadmi hain

tum ne hamare dil mein ghar kar liya to kya hai

aabaad karte aaKHir virane aadmi hain

naseh se koi kah de kije kalam aisa

hazrat ko ta ki koi ye jaane aadmi hain

jab dawar-e-qayamat puchhega tum pe rakh kar

kah denge saf hum to begane aadmi hain

main wo bashar ki mujh se har aadmi ko nafrat

tum shama wo ki tum par parwane aadmi hain

mahfil bhari hui hai saudaiyon se us ki

us ghairat-e-pari par diwane aadmi hain

shabash 'dagh' tujh ko kya tegh-e-ishq khai

ji karte hain wahi jo mardane aadmi hain

(1777) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zahid Na Kah Buri Ki Ye Mastane Aadmi Hain In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Zahid Na Kah Buri Ki Ye Mastane Aadmi Hain is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Zahid Na Kah Buri Ki Ye Mastane Aadmi Hain for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Zahid Na Kah Buri Ki Ye Mastane Aadmi Hain in PDF.