Sitam Ke Baad Bhi Baqi Karam Ki Aas To Hai

sitam ke baad bhi baqi karam ki aas to hai

wafa shiar nahin wo wafa shanas to hai

wo dil ki baat zaban se na kuchh kahen shayad

hamare haal pe chehra magar udas to hai

ye dil-fareb banaras ki subah ka manzar

awadh ki sham-e-dil-ara hamare pas to hai

bharam rahega tere mai-kade ka bhi saqi

bala se KHali sahi hath mein gilas to hai

chale hi jaen nigahon se dur aap magar

hasin yaadon ki daulat hamare pas to hai

kare bhale hi na rahmat ki mujh par tu barish

tere karam ki mere dil mein ek aas to hai

ye sach hai us ne bujhai na tishnagi lekin

hamari tishna-dahani ka us ko pas to hai

durust hai ki farishta-sifat nahin 'danish'

KHuda gawah basirat ki us ko pyas to hai

(966) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sitam Ke Baad Bhi Baqi Karam Ki Aas To Hai In English By Famous Poet Danish Farahi. Sitam Ke Baad Bhi Baqi Karam Ki Aas To Hai is written by Danish Farahi. Read famous Poem Sitam Ke Baad Bhi Baqi Karam Ki Aas To Hai for youth and Student by Danish Farahi. Free Download Sitam Ke Baad Bhi Baqi Karam Ki Aas To Hai in PDF.