Shishe Se Ziyaada Nazuk Tha Ye Shisha-e-dil Jo TuT Gaya

shishe se ziyaada nazuk tha ye shisha-e-dil jo TuT gaya

mat puchho ki mujh par kya guzri jab hath se saghar chhuT gaya

tariki-e-mahfil ka shikwa tum karte ho ai diwano kyun

KHud shama bujha di hai tum ne KHud-baKHt tumhaara phuT gaya

saqi ki nazar uThti hi nahin kyun baada-o-saghar ki jaanib

sarmaya-e-mai-KHana aa kar kya koi luTera luT gaya

mahrumi-e-qismat ka aalam kya puchh rahe ho tum mujh se

manzil to abhi hai dur bahut aur ek ek sathi chhuT gaya

uThta hai 'danish' dil se dhuan aankhon se Tapakte hain aansu

kya aatish-e-gham dene lagi lau kya dil ka phaphula phuT gaya

(1728) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shishe Se Ziyaada Nazuk Tha Ye Shisha-e-dil Jo TuT Gaya In English By Famous Poet Danish Farahi. Shishe Se Ziyaada Nazuk Tha Ye Shisha-e-dil Jo TuT Gaya is written by Danish Farahi. Read famous Poem Shishe Se Ziyaada Nazuk Tha Ye Shisha-e-dil Jo TuT Gaya for youth and Student by Danish Farahi. Free Download Shishe Se Ziyaada Nazuk Tha Ye Shisha-e-dil Jo TuT Gaya in PDF.