Na Wo Taeron Ka JamghaT Na Wo ShaKٓH-e-ashiyana

na wo taeron ka jamghaT na wo shaKٓH-e-ashiyana

tum ise KHizan kahoge ki bahaar ka zamana

main wafaon ka hun paikar mera jazb-e-muKHlisana

mujhe aazma le hamdam jo tu chahe aazmana

tu mujhe tabah kar de tu mera nishan miTa de

na karunga main gawara magar apna sar jhukana

jo use koi sunega to bhala yaqin karega

ye janab-e-shaiKH hamdam ye dar-e-sharab-KHana

ye ata-e-ishq hi hai ki bana hun main ghazal-KHwan

na tha is ke pahle 'danish' mera zauq shairana

(867) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Wo Taeron Ka JamghaT Na Wo ShaKٓH-e-ashiyana In English By Famous Poet Danish Farahi. Na Wo Taeron Ka JamghaT Na Wo ShaKٓH-e-ashiyana is written by Danish Farahi. Read famous Poem Na Wo Taeron Ka JamghaT Na Wo ShaKٓH-e-ashiyana for youth and Student by Danish Farahi. Free Download Na Wo Taeron Ka JamghaT Na Wo ShaKٓH-e-ashiyana in PDF.