Na Sochen Ahl-e-KHirad Mujhko Aazmane Ko

na sochen ahl-e-KHirad mujh ko aazmane ko

main jaanta hun bahut aql ke fasane ko

nahin qafas se nikalne ki aarzu sayyaad

dikha de ek nazar mere aashiyane ko

asir kar ke qafas mein mujhe ye hairat hai

wo kah rahe hain mujhi se chaman bachane ko

suluk ahl-e-chaman se ye baghban ne kiya

qafas samajhne lage hain sab aashiyane ko

batao tum ko ye kya ho gaya hai ahl-e-chaman

jala rahe ho jo KHud apne aashiyane ko

jafa-o-zulm ke is tund tez tufan mein

wo mujh se kahte hain sham-e-wafa jalane ko

gira rahe hain musalsal wo bijliyan 'danish'

batao kaise bachaoge aashiyane ko

(973) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Sochen Ahl-e-KHirad Mujhko Aazmane Ko In English By Famous Poet Danish Farahi. Na Sochen Ahl-e-KHirad Mujhko Aazmane Ko is written by Danish Farahi. Read famous Poem Na Sochen Ahl-e-KHirad Mujhko Aazmane Ko for youth and Student by Danish Farahi. Free Download Na Sochen Ahl-e-KHirad Mujhko Aazmane Ko in PDF.