Kuchh Apne Daur Ki Bhi Kahani Likha Karo

kuchh apne daur ki bhi kahani likha karo

patthar ko mom KHun ko pani likha karo

jiddat ki rau mein log kahan se kahan gae

tum se bane to baat purani likha karo

wo ahd hai ki shola-fishan bijliyon ko bhi

ghazlon mein rang-o-nur ki rani likha karo

lafzon ko apne asl maani se aar hai

ab doston ko dushman-e-jaani likha karo

hai be-hison ki bhiD na hoga koi asar

aKHbar mein hazar girani likha karo

likhne ke waste koi unwan chahiye

fariyaad-o-ah-o-ashk-fishani likha karo

shohrat ke KHwastgaro mera mashwara hai ye

'ghaalib' ka apne aap ko sani likha karo

'danish' zah-e-nasib mile zaKHm-e-lala-rang

har zaKHm-e-dil ko un ki nishani likha karo

(766) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Apne Daur Ki Bhi Kahani Likha Karo In English By Famous Poet Danish Farahi. Kuchh Apne Daur Ki Bhi Kahani Likha Karo is written by Danish Farahi. Read famous Poem Kuchh Apne Daur Ki Bhi Kahani Likha Karo for youth and Student by Danish Farahi. Free Download Kuchh Apne Daur Ki Bhi Kahani Likha Karo in PDF.