Kis Qadar Iztirab Hai Yaro

kis qadar iztirab hai yaro

zindagi ek azab hai yaro

dil mera saf aaine ki tarah

ek sada kitab hai yaro

main hun nakaam ishq mein lekin

kya koi kaamyab hai yaro

jab se dekha hai is ne hans ke mujhe

dil ki haalat KHarab hai yaro

gham-e-jaanan to rahat-e-dil hai

fikr-e-duniya azab hai yaro

us ne shayad kiya hai yaad mujhe

dil mein kyun iztirab hai yaro

puchhte kya ho us ka naqsh-o-nigar

aap apna jawab hai yaro

sun sakunga na dastan-e-ishq

ab kahan mujh mein tab hai yaro

kya karega koi KHarab use

jo azal se KHarab hai yaro

kuchh batao ki aaj 'danish' par

kyun sitam be-hisab hai yaro

(984) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Qadar Iztirab Hai Yaro In English By Famous Poet Danish Farahi. Kis Qadar Iztirab Hai Yaro is written by Danish Farahi. Read famous Poem Kis Qadar Iztirab Hai Yaro for youth and Student by Danish Farahi. Free Download Kis Qadar Iztirab Hai Yaro in PDF.