Hashr Ek Guzra Hai Virane Pe Ghar Hone Tak

hashr ek guzra hai virane pe ghar hone tak

jaane kya biti hai dane pe shajar hone tak

hijr ki shab ye mere soz-e-darun ka aalam

jal ke main KHak na ho jaun sahar hone tak

ahl-e-dil rahte hain ta-zist wafa ke paband

shama har rang mein jalti hai sahar hone tak

be-qarari ka ye aalam hai sar-e-sham hi jab

dekhen kya hota hai is dil ka sahar hone tak

dekhenge hashr jafaon ka hum un ki 'danish'

rah gae zinda jo aahon ke asar hone tak

(962) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hashr Ek Guzra Hai Virane Pe Ghar Hone Tak In English By Famous Poet Danish Farahi. Hashr Ek Guzra Hai Virane Pe Ghar Hone Tak is written by Danish Farahi. Read famous Poem Hashr Ek Guzra Hai Virane Pe Ghar Hone Tak for youth and Student by Danish Farahi. Free Download Hashr Ek Guzra Hai Virane Pe Ghar Hone Tak in PDF.