Ek Bujhao Ek Jalao KHwab Ka Kya Hai

ek bujhao ek jalao KHwab ka kya hai

aankhon mein rakh kar so jao KHwab ka kya hai

panw-tale hai raund ke guzro kuchal ke dekho

pichhe jao aage aao KHwab ka kya hai

shelf pe ulTa kar ke rakh do aur bisra do

gul-danon mein phul sajao KHwab ka kya hai

KHwab ka kya hai raat ke naqsh-o-nigar banao

raat ke naqsh-o-nigar banao KHwab ka kya hai

nind mili hai guD se miThi shahd se shirin

gao nacho nacho gao KHwab ka kya hai

la-yani hai sab la-yani yani yani

aur kahani likh kar lao KHwab ka kya hai

ek kabaDi galiyon aawaz lagae

rakh KHarido aag ke bhaw KHwab ka kya hai

(1257) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Bujhao Ek Jalao KHwab Ka Kya Hai In English By Famous Poet Daniyal Tareer. Ek Bujhao Ek Jalao KHwab Ka Kya Hai is written by Daniyal Tareer. Read famous Poem Ek Bujhao Ek Jalao KHwab Ka Kya Hai for youth and Student by Daniyal Tareer. Free Download Ek Bujhao Ek Jalao KHwab Ka Kya Hai in PDF.