Chashm-e-wa Hi Na Hui Jalwa-numa Kya Hota

chashm-e-wa hi na hui jalwa-numa kya hota

aur hota bhi to dekhe ke siwa kya hota

ret ke bagh mein kya baad-e-bahaari ki talab

koi sabza hi nahin tha to hara kya hota

itni sada bhi nahin aag aur angur ki ramz

ajr deta na saza to bhi KHuda kya hota

meri KHwahish ke ilaqe se pare kuchh bhi na tha

aur KHwahish ke ilaqe mein naya kya hota

jism par sard hawaon ki fusun-kari thi

dhup tawiz na karti to mera kya hota

azhdahe banne lage peD parindon ke liye

shahr-e-pur-KHauf mein ab is se bura kya hota

dekhne mein bhi gaya tha wo tamasha lekin

koi baqi na raha raqs fana kya hota

(927) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chashm-e-wa Hi Na Hui Jalwa-numa Kya Hota In English By Famous Poet Daniyal Tareer. Chashm-e-wa Hi Na Hui Jalwa-numa Kya Hota is written by Daniyal Tareer. Read famous Poem Chashm-e-wa Hi Na Hui Jalwa-numa Kya Hota for youth and Student by Daniyal Tareer. Free Download Chashm-e-wa Hi Na Hui Jalwa-numa Kya Hota in PDF.