Chand Chhune Ki Talabgar Nahin Ho Sakti

chand chhune ki talabgar nahin ho sakti

kya meri KHak chamakdar nahin ho sakti

ho na ho apni basarat ne mujhe roka hai

ghaib jate hue diwar nahin ho sakti

jitni peDon mein nazar aati hai taqlib ke baad

ye zamin itni pur-asrar nahin ho sakti

main ne DhunDa hai charaghon ki lawon mein tujh ko

tu sitare mein numudar nahin ho sakti

ye zaminon pe lahakti hui gandum ki mahak

aasmanon ki taraf-dar nahin ho sakti

main kise KHwab sunane ke liye aaya hun

shab agar nind se bedar nahin ho sakti

jis ne aansu pe qanaat ka chalan sikha ho

wo nazar KHugar-e-dinar nahin ho sakti

(899) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chand Chhune Ki Talabgar Nahin Ho Sakti In English By Famous Poet Daniyal Tareer. Chand Chhune Ki Talabgar Nahin Ho Sakti is written by Daniyal Tareer. Read famous Poem Chand Chhune Ki Talabgar Nahin Ho Sakti for youth and Student by Daniyal Tareer. Free Download Chand Chhune Ki Talabgar Nahin Ho Sakti in PDF.