Shahr Se Kya Gai Jaanib-e-dasht-ezar Zindagi FaKHta

shahr se kya gai jaanib-e-dasht-ezar zindagi faKHta

bain karne lagi aa ke sham-o-sahar matami faKHta

mar gaya raat ko barf oDhe hue ek footpath par

wo jo kahta raha lafz wo umr-bhar shanti faKHta

kaisi kaisi hawaen chalin bagh mein kaun aaya gaya

sari tabdiliyon se rahi be-KHabar bawri faKHta

wo nagar chand ka hai wahan teri kirnon ki KHwahish kise

is taraf tirgi hai yahan la ke dhar tashtari faKHta

be-aman shahr mein kaisi dahshat se guzri thi main kya kahun

jab adu dekhti apne hi baal-o-par nochti faKHta

wo jo aankhon mein thi koi duniya alag thi jahan se juda

mere KHwabon mein the amn ka rahbar raushni faKHta

main tha shair mujhe shahr-ashob likhne the likhta raha

teri qismat mein likhe gae kyun khanDar sundari faKHta

(954) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahr Se Kya Gai Jaanib-e-dasht-ezar Zindagi FaKHta In English By Famous Poet Daniyal Tareer. Shahr Se Kya Gai Jaanib-e-dasht-ezar Zindagi FaKHta is written by Daniyal Tareer. Read famous Poem Shahr Se Kya Gai Jaanib-e-dasht-ezar Zindagi FaKHta for youth and Student by Daniyal Tareer. Free Download Shahr Se Kya Gai Jaanib-e-dasht-ezar Zindagi FaKHta in PDF.