Daulat Mili Jahan Ki Nam-o-nishan Mile

daulat mili jahan ki nam-o-nishan mile

sab kuchh mila hamein na magar mehrban mile

pahle bhi jaise dekh chuke hon unhen kahin

anjaan wadiyon mein kuchh aise nishan mile

baDhta gaya main manzil-e-mahbub ki taraf

hail agarche rah mein sang-e-garan mile

rona paDa nasib ke hathon hazar bar

ek bar muskura ke jo tum mehrban mile

hum ko KHushi mili bhi to bas aarzi mili

lekin jo gham mile wo gham-e-jawedan mile

baqi rahegi hashr tak un ke karam ki yaad

mujh ko rah-e-hayat mein jo mehrban mile

phir kyun kare talash koi aur aastan

wo KHush-nasib jis ko tera aastan mile

ahl-e-sitam ki dil-shikani ka sabab hua

dil ka ye hausla ki gham be-karan mile

saqi ki ek nigah se kaya palaT gai

zahid jo mai-kade mein mile naujawan mile

dair-o-haram ke log bhi darman na kar sake

wo bhi asir-e-kashmakash-e-in-o-an mile

nazren talash karti rahin jin ko umr-bhar

'darshan' ko wo sukun ke lamhe kahan mile

(1249) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Daulat Mili Jahan Ki Nam-o-nishan Mile In English By Famous Poet Darshan Singh. Daulat Mili Jahan Ki Nam-o-nishan Mile is written by Darshan Singh. Read famous Poem Daulat Mili Jahan Ki Nam-o-nishan Mile for youth and Student by Darshan Singh. Free Download Daulat Mili Jahan Ki Nam-o-nishan Mile in PDF.