Gham-e-hayat Pe KHandan Hain Tere Diwane

gham-e-hayat pe KHandan hain tere diwane

ajib sahab-e-irfan hain tere diwane

har ek zarra-e-sahra hai aaina-KHana

hujum-e-jalwa se hairan hain tere diwane diwane

na apne hosh ki parwa na apne dard ka fikr

gham-e-zamin se pareshan hain tere diwane

kahan ye hosh ki auron ki zindagi pe hansen

KHud apne haal pe KHandan hain tere diwane

hujum-e-ashk mein chhalka rahe hain paimana

harif-e-gardish-e-dauran hain tere diwane

bahaar aate hi kya jaane un pe kya guzri

ki KHud se dast-o-gareban hain tere diwane

kabhi to ek nigah-e-jaan-nawaz ho jae

hanuz kushta-e-arman hain tere diwane

nishat-o-dard mein dekha hai main ne 'darshan' ko

har ek haal mein shadan hain tere diwane

(1214) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham-e-hayat Pe KHandan Hain Tere Diwane In English By Famous Poet Darshan Singh. Gham-e-hayat Pe KHandan Hain Tere Diwane is written by Darshan Singh. Read famous Poem Gham-e-hayat Pe KHandan Hain Tere Diwane for youth and Student by Darshan Singh. Free Download Gham-e-hayat Pe KHandan Hain Tere Diwane in PDF.