Gulon Pe KHak-e-mehan Ke Siwa Kuchh Aur Nahin

gulon pe KHak-e-mehan ke siwa kuchh aur nahin

chaman mein yaad-e-chaman ke siwa kuchh aur nahin

kahan ki manzil-e-rangin sahar to hone do

hamare KHwab thakan ke siwa kuchh aur nahin

ye sham-e-ghurbat-e-dil hai yahan charagh kahan

KHayal-e-subh-e-watan ke siwa kuchh aur nahin

nigah-e-shauq-e-musalsal usi ko chheDe ja

jabin pe jis ki shikan ke siwa kuchh aur nahin

dayar-e-ishq mein tum kyun khaDe ho ahl-e-hawas

yahan to dar-o-rasan ke siwa kuchh aur nahin

sawad-e-sham-e-KHizan hai to ho hamein kya gham

nazar mein subh-e-chaman ke siwa kuchh aur nahin

kare talash junun zulmat-e-KHirad se kaho

junun kiran hai kiran ke siwa kuchh aur nahin

hamari naghma-sarai ke waste 'darshan'

hawa-e-gang-o-jaman ke siwa kuchh aur nahin

(1125) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gulon Pe KHak-e-mehan Ke Siwa Kuchh Aur Nahin In English By Famous Poet Darshan Singh. Gulon Pe KHak-e-mehan Ke Siwa Kuchh Aur Nahin is written by Darshan Singh. Read famous Poem Gulon Pe KHak-e-mehan Ke Siwa Kuchh Aur Nahin for youth and Student by Darshan Singh. Free Download Gulon Pe KHak-e-mehan Ke Siwa Kuchh Aur Nahin in PDF.