Hansi Gulon Mein Sitaron Mein Raushni Na Mili

hansi gulon mein sitaron mein raushni na mili

mile na tum to kahin bhi hamein KHushi na mili

na chand mein na shafaq mein na lala-o-gul mein

jo aap mein hai kahin bhi wo dilkashi na mili

nigah lutf ki hai muntazir meri shab-e-gham

sitare Dub chale aur raushni na mili

hamin ko saunp diye kul jahan ke ranj-o-alam

kisi mein aur hamari si dil-dahi na mili

nigah-e-dost ne baKHshi jo dil ko mad-hoshi

sharab-o-jam se hum ko wo be-KHudi na mili

har ek nashat mein pinhan mila nashat ka gham

jo aish se ho basar aisi zindagi na mili

mere KHayal mein hain ye tajalliyan kis ki

andheri raat mein bhi mujh ko tirgi na mili

wahi faza wahi gulshan wahi hawa hai magar

mili jo gul ko wo KHaron ko zindagi na mili

gila karenge na ab mere baad ke rahraw

ki un ko rah-e-mohabbat mein raushni na mili

hazar bar hua KHun-e-arzu lekin

kabhi kisi ko meri aankh mein nami na mili

jo chheDti mere betab dil ke taron ko

kisi bhi saz mein darshan wo naghmagi na mili

(1451) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hansi Gulon Mein Sitaron Mein Raushni Na Mili In English By Famous Poet Darshan Singh. Hansi Gulon Mein Sitaron Mein Raushni Na Mili is written by Darshan Singh. Read famous Poem Hansi Gulon Mein Sitaron Mein Raushni Na Mili for youth and Student by Darshan Singh. Free Download Hansi Gulon Mein Sitaron Mein Raushni Na Mili in PDF.