Is Rah Mein Aate Hain Bayaban Bhi Chaman Bhi

is rah mein aate hain bayaban bhi chaman bhi

kahte hain jise zist shabistan bhi hai ran bhi

kya ho gaya insan ka wo shauq-e-shahadat

viran nazar aate hain ab dar-o-rasan bhi

bujh jaegi mil-jul ke agar pyas bujhao

ganga hi ke nazdik to hai rud-e-jaman bhi

ab lala-ba-daman na koi chaak-gareban

viran chaman hi nahin sunsan hai ban bhi

ek hum hi nahin aabla-pa dasht-o-daman mein

aate hain nazar KHak-basar lala-badan bhi

KHali nahin ab daman-e-hasrat mera 'darshan'

ham-rah-e-wafa mujh ko mila ishq-e-watan bhi

(1146) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Rah Mein Aate Hain Bayaban Bhi Chaman Bhi In English By Famous Poet Darshan Singh. Is Rah Mein Aate Hain Bayaban Bhi Chaman Bhi is written by Darshan Singh. Read famous Poem Is Rah Mein Aate Hain Bayaban Bhi Chaman Bhi for youth and Student by Darshan Singh. Free Download Is Rah Mein Aate Hain Bayaban Bhi Chaman Bhi in PDF.