Ishq Shabnam Nahin Sharara Hai

ishq shabnam nahin sharara hai

raaz ye mujh pe aashkara hai

ek karam ki nigah kar dije

umr-bhar ka sitam gawara hai

raqs mein hain jo saghar-o-mina

kis ki nazron ka ye ishaara hai

aisi manzil pe aa gaya hun dost

tere gham ka faqat sahaara hai

lauT aae hain yar ke dar se

waqt ne jab hamein pukara hai

dil na TuTe to zarra-e-nachiz

kimiya hai jo para para hai

jam-e-rangin mein un ka aks-e-jamal

ya shafaq mein koi sitara hai

naw Takra chuki hai tufan se

apna murshid hi ab sahaara hai

ishq karna hai mat kha jaana

us mein jita hua bhi haara hai

apne 'darshan' pe ek nigah-e-karam

ki gham-e-zindagi ka mara hai

(1492) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Shabnam Nahin Sharara Hai In English By Famous Poet Darshan Singh. Ishq Shabnam Nahin Sharara Hai is written by Darshan Singh. Read famous Poem Ishq Shabnam Nahin Sharara Hai for youth and Student by Darshan Singh. Free Download Ishq Shabnam Nahin Sharara Hai in PDF.