Jab Aadmi Mudda-e-haq Hai To Kya Kahen Muddaa Kahan Hai
jab aadmi mudda-e-haq hai to kya kahen muddaa kahan hai
KHuda hai KHud jis ke dil mein pinhan wo DhunDhta hai KHuda kahan hai
ye bazm-e-yaran-e-KHud-numa hai na kar KHulus-e-wafa ki baaten
sabhi to hain muddai wafa ke yahan koi bewafa kahan hai
tamam partaw hain aks-e-partaw tamam jalwe hain aks-e-jalwa
kahan se laun misal-e-surat ki aap sa dusra kahan hai
nihan hain takmil-e-KHud-shanasi mein jalwa-ha-e-KHuda-shanasi
jo apni hasti se be-KHabar hai wo aap se aashna kahan hai
paDi hai sunsan dil ki wadi akela mahw-e-talash hun main
ki ishq ke rah-rau kidhar hain wafaon ka qafila kahan hai
jinhen wasael pe hai bharosa ye baat un ko bata de koi
bacha le kashti ko jo bhanwar se KHuda hai wo naKHuda kahan hai
paDa hi rahne do sar-ba-sajda na chhuTne do ye aastana
ki 'darshan'-e-KHasta ka Thikana tumhaare dar ke siwa kahan hai
(1279) Peoples Rate This