Jazba-e-dil Ko Amal Mein Kabhi Lao To Sahi

jazba-e-dil ko amal mein kabhi lao to sahi

apni manzil ki taraf panw baDhao to sahi

zindagi wo jo harif-e-gham-e-ayyam rahe

dil shikasta hai to kya saz uThao to sahi

jag uTThegi ye soi hui duniya lekin

pahle KHwabida tamanna ko jagao to sahi

phul hi phul hain kahte ho jinhen tum kanTe

meri duniya-e-junun mein kabhi aao to sahi

tumhein aabaad nazar aaegi ujDi duniya

dil ki duniya ko mohabbat se basao to sahi

zindagi phir se jawan phir se hasin ho jae

un ki aankhon se zara aankh milao to sahi

karte phirte ho andhere ki shikayat 'darshan'

dil ki duniya mein koi dip jalao to sahi

(1961) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jazba-e-dil Ko Amal Mein Kabhi Lao To Sahi In English By Famous Poet Darshan Singh. Jazba-e-dil Ko Amal Mein Kabhi Lao To Sahi is written by Darshan Singh. Read famous Poem Jazba-e-dil Ko Amal Mein Kabhi Lao To Sahi for youth and Student by Darshan Singh. Free Download Jazba-e-dil Ko Amal Mein Kabhi Lao To Sahi in PDF.