Raqs Karti Hai Faza Wajd Mein Jam Aaya Hai

raqs karti hai faza wajd mein jam aaya hai

phir koi le ke bahaaron ka payam aaya hai

baada-KHwaran-e-fana baDh ke qadam lo us ke

le ke saghar mein jo sahba-e-dawam aaya hai

main ne sikha hai zamane se mohabbat karna

tera paigham-e-mohabbat mere kaam aaya hai

rahbar-e-jada-e-haq nur-e-KHuda hadi den

le ke KHaliq ka zamane mein payam aaya hai

teri manzil hai buland itni ki har sham-o-sahar

chand-suraj se tere dar ko salam aaya hai

ho gaya teri mohabbat mein giraftar to phir

taer-e-ruh bhala kab tah-e-dam aaya hai

KHud-ba-KHud jhuk gai peshani-e-arbab-e-KHudi

ishq ki rah mein aisa bhi maqam aaya hai

aasiyo shukr ki ja hai ki ba-faiz-e-KHaliq

hum gunahgaron ki baKHshish ka payam aaya hai

haram-o-dair ke logon ki KHushi kya kahna

banda-e-KHaliq-o-dil-dada-e-ram aaya hai

tishna-kaaman-e-nazara ko ye muzhda de do

be-naqab aaj koi phir sar-e-baam aaya hai

ho mubarak tumhein rindo ki ba-taid-e-KHuda

koi chhalkata hua shisha-o-jam aaya hai

jab kabhi gardish-e-dauran ne sataya hai bahut

tere rindon ki zaban par tera nam aaya hai

ahl-e-maghrib ko pila kar mai-e-irfan 'darshan'

phir se mashriq ki taraf arsh-maqam aaya hai

(1291) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raqs Karti Hai Faza Wajd Mein Jam Aaya Hai In English By Famous Poet Darshan Singh. Raqs Karti Hai Faza Wajd Mein Jam Aaya Hai is written by Darshan Singh. Read famous Poem Raqs Karti Hai Faza Wajd Mein Jam Aaya Hai for youth and Student by Darshan Singh. Free Download Raqs Karti Hai Faza Wajd Mein Jam Aaya Hai in PDF.