Raaz-e-nihan Thi Zindagi Raaz-e-nihan Hai Aaj Bhi

raaz-e-nihan thi zindagi raaz-e-nihan hai aaj bhi

wahm-o-guman mein thi wahm-o-guman hai aaj bhi

kal bhi nawa-e-agahi qimat-e-sang-o-KHisht thi

naghma-e-amn-o-ashti jins-e-giran hai aaj bhi

dil se to roz-o-shab hui lakh tarah ki guftugu

tishna-e-guftugu magar apni zaban hai aaj bhi

KHak mein jazb ho gaya tere shahid ka lahu

matla-e-kaenat par surKH dhuan hai aaj bhi

ishq ko nind aa gai waqt pe os paD gai

apne junun ke dasht mein dhup jawan hai aaj bhi

waqt ki dastaras nahin bazm-e-gah-e-KHayal tak

ruKH pe ghubar hi sahi yaad jawan hai aaj bhi

kal bhi ruKH-e-hayat par rang-e-shaguftagi na tha

subh-e-bahaar-e-zindagi sham-e-KHizan hai aaj bhi

kal bhi zaban-o-nutq ko KHauf-e-sinan-e-saif tha

naqd-o-nazar ko dahshat-e-tir-o-kaman hai aaj bhi

'darshan'-e-tishna-kaam par ek nigah saqiya

shoala-bayan ye kal bhi tha shoala-bayan hai aaj bhi

(1053) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raaz-e-nihan Thi Zindagi Raaz-e-nihan Hai Aaj Bhi In English By Famous Poet Darshan Singh. Raaz-e-nihan Thi Zindagi Raaz-e-nihan Hai Aaj Bhi is written by Darshan Singh. Read famous Poem Raaz-e-nihan Thi Zindagi Raaz-e-nihan Hai Aaj Bhi for youth and Student by Darshan Singh. Free Download Raaz-e-nihan Thi Zindagi Raaz-e-nihan Hai Aaj Bhi in PDF.