Qaid-e-gham-e-hayat Se Ahl-e-jahan Mafar Nahin
qaid-e-gham-e-hayat se ahl-e-jahan mafar nahin
aisi mili hai sham-e-gham jis ki koi sahar nahin
hai wo safar jo ishq ko jaanib dost le chale
warna safar ke waste kaun si rahguzar nahin
ahl-e-KHirad ko chahiye dil ke nagar mein aa basen
dil sa hasin-o-KHush-numa aur koi nagar nahin
tere karam pe hai yaqin garche ye jaanta hun main
nala hai mera na-rasa aah mein kuchh asar nahin
hasrat-e-intizar ki baat na hum se puchhiye
hai ye tawil dastan qissa-e-muKHtasar nahin
luT to gae hain dil magar mil bhi gai hain manzilen
rahguzar-e-hayat mein ishq sa rahbar nahin
apna raha na hosh jab raaz-e-hayat pa liya
nemat-e-be-KHudi samajh hosh ka ye samar nahin
ishq mata-e-la-makan ishq mata-e-jawedan
shoala-e-daemi hai ye manzar-e-yak-sharar nahin
'darshan'-e-mast se milen kholega raaz-e-agahi
garche wahan hai jis jagah apni use KHabar nahin
(1091) Peoples Rate This