Nigah-e-mast-e-saqi Ka Salam Aaya To Kya Hoga

nigah-e-mast-e-saqi ka salam aaya to kya hoga

agar phir tark-e-tauba ka payam aaya to kya hoga

haram wale to puchhenge bata tu kis ka banda hai

KHuda se pahle lab par un ka nam aaya to kya hoga

mujhe manzur un se main na bolunga magar naseh

agar un ki nigahon ka salam aaya to kya hoga

chala hai aadmi tasKHir-e-mehr-o-mah ki KHatir

magar sayyaad hi KHud zer-e-dam aaya to kya hoga

mujhe tark-e-talab manzur lekin ye to batla do

koi KHud hi liye hathon mein jam aaya to kya hoga

mohabbat ke liye tark-e-talluq hi zaruri ho

mohabbat mein agar aisa maqam aaya to kya hoga

jahan kuchh KHas logon par nigah-e-lutf hai 'darshan'

agar us bazm mein daur-e-awam aaya to kya hoga

(1556) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nigah-e-mast-e-saqi Ka Salam Aaya To Kya Hoga In English By Famous Poet Darshan Singh. Nigah-e-mast-e-saqi Ka Salam Aaya To Kya Hoga is written by Darshan Singh. Read famous Poem Nigah-e-mast-e-saqi Ka Salam Aaya To Kya Hoga for youth and Student by Darshan Singh. Free Download Nigah-e-mast-e-saqi Ka Salam Aaya To Kya Hoga in PDF.