Mohabbat Ki Mata-e-jawedani Le Ke Aaya Hun

mohabbat ki mata-e-jawedani le ke aaya hun

tere qadmon mein apni zindagani le ke aaya hun

kahan sim-o-guhar jin ko luTaun tere qadmon par

bara-e-nazr ashkon ki rawani le ke aaya hun

tujhe jo puchhna ho puchh le ai dawar-e-mahshar

main apne sath apni be-zabani le ke aaya hun

zamin-o-mulk ke badle dilon par hai nazar meri

achhuta ek tariq-e-hukmarani le ke aaya hun

mere zaKHm-e-tamanna dekh kar pahchan lo mujh ko

tumhaari hi ata-karda nishani le ke aaya hun

mere ashaar mein muzmar hain lakhon dhaDkanen dil ki

main ek duniya ka gham dil ki zabani le ke aaya hun

mohabbat nam hai betabi-e-dil ke tasalsul ka

mohabbat ki main 'darshan' ye nishani le ke aaya hun

(1196) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbat Ki Mata-e-jawedani Le Ke Aaya Hun In English By Famous Poet Darshan Singh. Mohabbat Ki Mata-e-jawedani Le Ke Aaya Hun is written by Darshan Singh. Read famous Poem Mohabbat Ki Mata-e-jawedani Le Ke Aaya Hun for youth and Student by Darshan Singh. Free Download Mohabbat Ki Mata-e-jawedani Le Ke Aaya Hun in PDF.