Tujhe Kya KHabar Mere Ham-safar Mera Marhala Koi Aur Hai

tujhe kya KHabar mere ham-safar mera marhala koi aur hai

mujhe manzilon se gurez hai mera rasta koi aur hai

meri chahaton ko na puchhiye jo mila talab se siwa mila

meri dastan hi ajib hai mera masala koi aur hai

ye hawas ke bande hain naseha na samajh sake mera muddaa

mujhe pyar hai kisi aur se mera dil-ruba koi aur hai

mera zauq-e-sajda hai zahiri ki hai kashmakash meri zindagi

ye guman dil mein raha sada mera muddaa koi aur hai

wo rahim hai wo karim hai wo nahin ki zulm kare sada

hai yaqin zamane ko dekh kar ki yahan KHuda koi aur hai

main chala kahan se KHabar nahin ki safar mein hai meri zindagi

meri ibtida kahin aur hai meri intiha koi aur hai

mera nam 'darshan'-e-KHasta-tan mere dil mein koi hai zau-fagan

main hun gum kisi ki talash mein mujhe DhunDhta koi aur hai

(1418) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tujhe Kya KHabar Mere Ham-safar Mera Marhala Koi Aur Hai In English By Famous Poet Darshan Singh. Tujhe Kya KHabar Mere Ham-safar Mera Marhala Koi Aur Hai is written by Darshan Singh. Read famous Poem Tujhe Kya KHabar Mere Ham-safar Mera Marhala Koi Aur Hai for youth and Student by Darshan Singh. Free Download Tujhe Kya KHabar Mere Ham-safar Mera Marhala Koi Aur Hai in PDF.