Wo Saliqa Hamein Jine Ka Sikha De Saqi

wo saliqa hamein jine ka sikha de saqi

jo gham-e-dahr se begana bana de saqi

jam-o-mina meri nazron se haTa de saqi

ye jo aankhon mein chhalakti hai pila de saqi

shoala-e-ishq se chhalka de mere shishe ko

aur betab ko betab bana de saqi

haram-o-dair mein baT jate hain rindan-e-wafa

haram-o-dair ki tafriq miTa de saqi

sun raha hun ki mayassar hi nahin duniya mein

ek nigah raaz-e-do-alam jo bata de saqi

KHushk hai mausam-e-ehsas faza pyasi hai

KHum ke KHum sina-e-geti pe lunDha de saqi

phir kabhi hosh na aae to koi baat nahin

aaj hum jitni piyen utni pila de saqi

josh-e-masti mein baghal-gir hun bichhDe hue dil

aaj insan ko insan bana de saqi

zindagi KHwab-e-musalsal ke siwa kuchh na sahi

us ki tabir to 'darshan' ko bata de saqi

(2013) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Saliqa Hamein Jine Ka Sikha De Saqi In English By Famous Poet Darshan Singh. Wo Saliqa Hamein Jine Ka Sikha De Saqi is written by Darshan Singh. Read famous Poem Wo Saliqa Hamein Jine Ka Sikha De Saqi for youth and Student by Darshan Singh. Free Download Wo Saliqa Hamein Jine Ka Sikha De Saqi in PDF.