Ye Kis Ne Kah Diya AaKHir Ki Chhup-chhupa Ke Piyo

ye kis ne kah diya aaKHir ki chhup-chhupa ke piyo

ye mai hai mai use auron ko bhi pila ke piyo

gham-e-jahan ko gham-e-zist ko bhula ke piyo

hasin git mohabbat ke gunguna ke piyo

chhuTe na daman-e-taat bhi waqt-e-mai-noshi

piyo to sajda-e-ulfat mein sar jhuka ke piyo

bujhe bujhe se hon arman to kya farogh-e-nashat

jo so gae hain sitare unhen jaga ke piyo

gham-e-hayat ka darman hain ishq ke aansu

andheri raat hai yaro diye jala ke piyo

nasib hogi bahar-kaif marzi-e-saqi

mile jo zahr bhi yaro to muskura ke piyo

mere KHulus pe shaiKH-e-haram bhi kah uTTha

jo pi rahe ho to 'darshan' haram mein aa ke piyo

(1352) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kis Ne Kah Diya AaKHir Ki Chhup-chhupa Ke Piyo In English By Famous Poet Darshan Singh. Ye Kis Ne Kah Diya AaKHir Ki Chhup-chhupa Ke Piyo is written by Darshan Singh. Read famous Poem Ye Kis Ne Kah Diya AaKHir Ki Chhup-chhupa Ke Piyo for youth and Student by Darshan Singh. Free Download Ye Kis Ne Kah Diya AaKHir Ki Chhup-chhupa Ke Piyo in PDF.