Chaaragar

rah-e-ishq ki intiha chahta hun

junun sa koi rahnuma chahta hun

jo irfan ki zindagi ko baDha de

main wo baada-e-jaan-faza chahta hun

miTa kar mujhe aai main jazb kar le

baqa ke liye main fana chahta hun

bayan haal-e-dil main karun kyun zaban se

koi jaanta hai main kya chahta hun

mujhe kya zarurat hai kya tum se mangun

magar main tumhaara bhala chahta hun

mere chaaragar main hun bimar tera

tere hath hi shifa chahta hun

(1443) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chaaragar In English By Famous Poet Darshan Singh. Chaaragar is written by Darshan Singh. Read famous Poem Chaaragar for youth and Student by Darshan Singh. Free Download Chaaragar in PDF.