Talash-e-nur
fikr-o-alam ke baadal mein hain anwar-e-hayat
raushni kya kisi tanwir ka partaw bhi nahin
nau-e-insan ki fazaon pe hai zulmat ka jamaw
sham-e-mahtab ka kya zikr koi lau bhi nahin
zehn tarik hain ajsam ki duniya hai siyah
hai anasir ki fazaon mein talatum barpa
amn ki mauj ka milta nahin halka sa nishan
zindagi mein hai maqasid ka tasadum barpa
bartari paikar-o-ajsam ki hai jo kuchh hai
ruh ko qabil-e-tazhik kaha jata hai
kya zamana hai ki zulmat ko samajhte hain nur
nur ko jada-e-tarik kaha jata hai
aao ai ahl-e-KHirad ahl-e-junun ahl-e-zamin
bazm-e-hasti mein mohabbat se charaghan kar den
ruh-e-irfan ka anasir ko suna kar paigham
aaj insan ko phir mahram-e-insan kar den
(2572) Peoples Rate This