Parda-dar Hasti Thi Zat Ke Samundar Mein

parda-dar hasti thi zat ke samundar mein

husn KHub khul khela is sifat ke manzar mein

husn ishq mein hai ya ishq husn mein muzmar

jauhar aaine mein ya aaina hai jauhar mein

ishq-e-mahshar-ara ki tur par giri bijli

husn-e-lan-tarani ki rah saka na chadar mein

dekh ai tamashai gul hai rang-o-bu bilkul

imtiyaz na-mumkin hai arz se jauhar mein

gul mein aur bulbul mein kaun jaane kya guzri

chashm-posh masti thi is barahna manzar mein

upchi banate hain husn ko suKHan go kyun

kaT in adaon ka kab hai tegh-o-KHanjar mein

fart-e-soz-e-ulfat mein dekh kar sakun dil ka

bijliyan machalti hain baadalon ke mahshar mein

chaaragar ko hairat hai irtiqa-e-wahsaht se

panw mein jo chakkar tha aa raha hai wo sar mein

hasrat aarman ki ho kahna se gunjaish

hai wahi mere dil mein hai wahi mere sar mein

hon wo rind ya sufi mast us ki dhun mein hain

jaane kitne mai-KHane bhar diye hain kausar mein

charKH kya utar aaya aaj farsh-e-giti par

rind bhi hain chakkar mein mai-kada bhi chakkar mein

mai wo hosh par afgan aur nazar wo sahba-pash

mast kyun na ho 'kaifi' ek do hi saghar mein

(518) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Parda-dar Hasti Thi Zat Ke Samundar Mein In English By Famous Poet Dattatriya Kaifi. Parda-dar Hasti Thi Zat Ke Samundar Mein is written by Dattatriya Kaifi. Read famous Poem Parda-dar Hasti Thi Zat Ke Samundar Mein for youth and Student by Dattatriya Kaifi. Free Download Parda-dar Hasti Thi Zat Ke Samundar Mein in PDF.