Lutf Ho Hashr Mein Kuchh Baat Banae Na Bane

lutf ho hashr mein kuchh baat banae na bane

aankh bhi shoKH sitam-gar se churae na bane

mujh ko uThwa to diya us ne bhari mahfil se

kaun tha ye koi puchhe to batae na bane

baat sari ye hai wo zid pe aDe baiThe hain

yaad ki bhul ho to lakh jatae na bane

tum se ab kya kahen wo chiz hai dagh-e-gham-e-ishq

ki chhupae na chhupe aur dikhae na bane

sidhi baaton pe hai matlub sanad aur subut

hain wo kaj-bahas zaban un se milae na bane

fath ka raaz hai sabit-qadmi aur himmat

kaam bhi hai koi aisa ki banae na bane

baat wo kah gae aae bhi to kis tarah yaqin

aur sehr is mein kuchh aisa hai bhulae na bane

be-kasi ki hai musibat mein shikayat be-sud

kab paDa waqt ki apne bhi parae na bane

gham jo pyare se mile kyun na ho wo bhi pyara

bhulna bhi use chahen to bhulae na bane

hai nazar mein wo saman naqsh hai jis ka dil par

dard wo nam hai lab tak jise lae na bane

be-KHudi ka hai jahan be-asar naz o niyaz

sarkashi bhi na chale sar bhi jhukae na bane

aah-e-sard aur bhi bhaDkati hai shola dil mein

ye diya wo hai jo phunkon se bujhae na bane

sard aazad hai dil rashk o numaish hai abas

KHar khae na bane gul bhi khilae na bane

ain yak-rangi hai nairang-e-tamasha har chand

ye wo uryani ka parda hai uThae na bane

be-KHudi mein bhi to 'kaifi' ki ye KHuddari hai

haal-e-dil puchh bhi len wo to sunae na bane

(953) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lutf Ho Hashr Mein Kuchh Baat Banae Na Bane In English By Famous Poet Dattatriya Kaifi. Lutf Ho Hashr Mein Kuchh Baat Banae Na Bane is written by Dattatriya Kaifi. Read famous Poem Lutf Ho Hashr Mein Kuchh Baat Banae Na Bane for youth and Student by Dattatriya Kaifi. Free Download Lutf Ho Hashr Mein Kuchh Baat Banae Na Bane in PDF.