Aaj Badli Hai Hawa Saqi Pila Jam-e-sharab

aaj badli hai hawa saqi pila jam-e-sharab

bars kali wada jate hain baras kale sahab

aarsi sun ab sharab-e-nab khincha chahiye

nind sun uTh yar ne dekha hai chashm-e-nim-KHwab

saf dil ho gar hai tujh kun KHwahish-e-tark-e-hawa

aab-e-aina upar aata nahin hargiz habab

surat-e-mahtab ro zahir hai mere ashk sun

jalwa-gar jiyun aab-e-dariya mein hai aks-e-mahtab

har kitab-e-sohbat-e-rangin ke mani dekh kar

fard-e-tanhai ke mazmun kun kiya hun intiKHab

sahab-e-mani kiya hai haq mujhe roz-e-bina

postin jama hai mere bar mane misl-e-kitab

KHema-e-gul bagh mein barpa hai ai 'daud' aaj

tan rahi hai dekh kya aawaz-e-bulbul ki tanab

(1070) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Badli Hai Hawa Saqi Pila Jam-e-sharab In English By Famous Poet Daud Aurangabadi. Aaj Badli Hai Hawa Saqi Pila Jam-e-sharab is written by Daud Aurangabadi. Read famous Poem Aaj Badli Hai Hawa Saqi Pila Jam-e-sharab for youth and Student by Daud Aurangabadi. Free Download Aaj Badli Hai Hawa Saqi Pila Jam-e-sharab in PDF.