Fariyaad Sada-e-nafas Aawaz-e-jaras Hai

fariyaad sada-e-nafas aawaz-e-jaras hai

kya qafila-e-umr kun chalne ka hawas hai

jo saf-dil hai us mein kudurat ka asar nin

har-chand agar dushman-e-aina nafas hai

leta hun apas madrasa-e-dil mein sabaq main

us shoKH murdarris ka wahan jab sun daras hai

yak lamha na ho mujh sun juda ai mah-e-taban

har aan tere hijr ka mujh haq mein baras hai

'daud' na kar pursish-e-mahshar sati kuchh KHauf

wan aal-e-mohammad ki shafaat tujhe bas hai

(423) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fariyaad Sada-e-nafas Aawaz-e-jaras Hai In English By Famous Poet Daud Aurangabadi. Fariyaad Sada-e-nafas Aawaz-e-jaras Hai is written by Daud Aurangabadi. Read famous Poem Fariyaad Sada-e-nafas Aawaz-e-jaras Hai for youth and Student by Daud Aurangabadi. Free Download Fariyaad Sada-e-nafas Aawaz-e-jaras Hai in PDF.