Mujh Sath Sair-e-bagh Kun Ai Nau-bahaar Chal

mujh sath sair-e-bagh kun ai nau-bahaar chal

bulbul hai intizar mein ai gul-izar chal

karne kun qatl aashiq-e-jaan-baz ke sanam

le tegh-e-naz hath kamar rakh kaTar chal

karne nazara bagh ka nikla hai gul-badan

barja hai har chaman sun gar aawe bahaar chal

us gul-badan sun zauq ham-aghosh hai agar

ho chaak sina gul ke naman ban ke haar chal

us shama-ru ke wasl ka gar tujh kun shauq hai

mahfil mein aashiqan ki ho parwana-war chal

aaKHir asir-e-umr ka hai is jahan sun kuch

is waste hai dam ki jaras mein pukar chal

gar azm hai buzurgi is aalam mein hue husul

aamal-nama jag mein apas ka sanwar chal

gar yar ke hai wasl ki neamat ki ishtiha

har shai sun rah u pas wahan lag nahaar chal

awwal KHudi ke ghar kun ai 'daud' toD saT

mai-KHana-e-visal mein tab sidh-bisar chal

(990) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujh Sath Sair-e-bagh Kun Ai Nau-bahaar Chal In English By Famous Poet Daud Aurangabadi. Mujh Sath Sair-e-bagh Kun Ai Nau-bahaar Chal is written by Daud Aurangabadi. Read famous Poem Mujh Sath Sair-e-bagh Kun Ai Nau-bahaar Chal for youth and Student by Daud Aurangabadi. Free Download Mujh Sath Sair-e-bagh Kun Ai Nau-bahaar Chal in PDF.