Nigah-e-yar Sun Hasil Hai Mujh Kun Mai-noshi

nigah-e-yar sun hasil hai mujh kun mai-noshi

lab-e-KHamosh ne baKHsha hai us ke KHamoshi

baja hai gar kare aashiq kun ek daur mein mast

hai jam-e-chashm-e-sanam mein sharab-e-be-hoshi

kiya hai shoKH ne bar mein qaba-e-nafarman

udul kyun na kare wada-e-ham-aghoshi

sajan ke nawak-e-mizhgan ke dil mein haibat rakh

kiya hai main ne ye dariya mane zirah-poshi

kiya nahin hun raqam KHat main is sabab 'daud'

main nama-bar sun kaha hun ki raaz hai goshi

(770) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nigah-e-yar Sun Hasil Hai Mujh Kun Mai-noshi In English By Famous Poet Daud Aurangabadi. Nigah-e-yar Sun Hasil Hai Mujh Kun Mai-noshi is written by Daud Aurangabadi. Read famous Poem Nigah-e-yar Sun Hasil Hai Mujh Kun Mai-noshi for youth and Student by Daud Aurangabadi. Free Download Nigah-e-yar Sun Hasil Hai Mujh Kun Mai-noshi in PDF.