Sina Safi Sun Misl-e-darpan Kar

sina safi sun misl-e-darpan kar

sham-e-fanus dil ki raushan kar

yaad kar ke KHayal gul-ru ka

dasht-e-dil mein bahaar-e-gulshan kar

gar nahin subha hath mein har waqt

dana-e-dam sun piw ki simran kar

garche hael hai parda-e-ghaflat

dida-e-dil kun khol rauzan kar

aib-poshi kun KHalq ki 'daud'

chashm seti palak kun sozan kar

(489) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sina Safi Sun Misl-e-darpan Kar In English By Famous Poet Daud Aurangabadi. Sina Safi Sun Misl-e-darpan Kar is written by Daud Aurangabadi. Read famous Poem Sina Safi Sun Misl-e-darpan Kar for youth and Student by Daud Aurangabadi. Free Download Sina Safi Sun Misl-e-darpan Kar in PDF.