Teri Ankhiyan Ke Tasawwur Mein Sada Mastana Hun

teri ankhiyan ke tasawwur mein sada mastana hun

dekh kar zanjir tere zulf ki diwana hun

gah sair-e-bostan karta hun gahe sair-e-bazm

gah tere ishq mein bulbul hun gah parwana hun

gah misl-e-barhaman hun ai sanam zunnar-band

hat mein zahid ke gahe subha-e-sad-dana hun

kiya hua gar hai dil-e-sad-chaak mera tira-baKHt

husn ki zinat hun tere surma hun gar shana hun

jab sun hai us aashna ki aashnai ka KHayal

nin raha hun aap mein, main aap sun begana hun

gosh rakh mera suKHan sunta hai har ahl-e-suKHan

jab sun main bahr-e-suKHan ki sip ka durdana hun

hai azal sun jalwa-paira dil mein hubb-e-murtaza

is sabab 'daud' daem dushman-e-but-KHana hun

(539) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Ankhiyan Ke Tasawwur Mein Sada Mastana Hun In English By Famous Poet Daud Aurangabadi. Teri Ankhiyan Ke Tasawwur Mein Sada Mastana Hun is written by Daud Aurangabadi. Read famous Poem Teri Ankhiyan Ke Tasawwur Mein Sada Mastana Hun for youth and Student by Daud Aurangabadi. Free Download Teri Ankhiyan Ke Tasawwur Mein Sada Mastana Hun in PDF.