Tahzib Ki Aayat

jab insan ne paDhna sikha

paDhne laga tahzib ki aayat

miTTi

aag

hawa

aur pani

dushman sare

ban gae yar

us ki aayat ki tafsiren ab

itni hain

ki aql hai dang

lekin ek aisi hai baat

jis se ki banti hai baat

in be-ginti tafsiron ki

har ek insan insan hai

jab insan ne paDhna sikha

paDhne laga tahzib ki aayat

girne lagin diwaren

khulne lage darwaze

jin logon ne

diwaren banwai hain

bhul gae tahzib ki aayat

(804) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Tahzib Ki Aayat In English By Famous Poet Daud Ghazi. Tahzib Ki Aayat is written by Daud Ghazi. Read famous Poem Tahzib Ki Aayat for youth and Student by Daud Ghazi. Free Download Tahzib Ki Aayat in PDF.