Kal Se Aaj Tak

magar wo sab kuchh bhula chuki hai

ki jis ke hamrah bita bachpan

ki jis ke hamrah thi jawani

umangen parwan chaDh rahi thin

wo be-KHabar roz-o-shab ki yaaden

kabhi kabhi chhoTi moTi baaton pe ruTh jaana

na baat karna na sath rahna

jo main manaun to wo na mane

wo pyar kya tha KHuda hi jaane

magar wo sab kuchh bhula chuki hai

ki jis ke hamrah bita bachpan

ki jis ke hamrah thi jawani

jo hosh aaya

to us ne ek sath marne-jine ki khain qasmen

magar wo sab kuchh bhula chuki hai

ki jis ki zulfon mein zindagi ki tamam qadren ulajh gai thin

ki jis ke mathe ki surKH bindi mera nasiba jaga rahi thi

ki jis ki nazron se main ne yaksaniyat ki mai pi

ki jis ke nazuk labon pe mere liye tabassum ki raushni thi

ki jis ki sanson mein mere sangit ki sada thi

ki jis ke sine ki dhaDkanon mein mere liye ek zalzala tha

ki jis ki guftar-e-narm-o-nazuk ne zahr-e-shirin pilae mujh ko

ki jis ke zanu pe mera sar tha

magar wo sab kuchh bhula chuki hai

ki jis ke hamrah bita bachpan

ki jis ke hamrah thi jawani

ki jis ne ek rah par hi gyarah baras guzare the sath mere

wo rah jis par mohabbaten thin masarraten thin

musibaten thin

magar wo zalim

ki jis ne apni KHushi ke aage

na KHud ko samjha na mujh ko jaana

tilism-e-husn-o-yaqin TuTa

to wo nahin thi

jo ham-safar thi

main apni manzil mein apne raste pe ab akela hi ja raha hun

(2342) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kal Se Aaj Tak In English By Famous Poet Daur Afridi. Kal Se Aaj Tak is written by Daur Afridi. Read famous Poem Kal Se Aaj Tak for youth and Student by Daur Afridi. Free Download Kal Se Aaj Tak in PDF.