Bechaini
KHayal-o-KHwab-o-aqaed ki sehar-kari tak
ghuTe ghuTe se shab-o-roz the bujhi si faza
na jaanne se chali baat jaanne ki taraf
sukut-e-maut hai lekin sukut KHatm hua
junun-sarisht se jazbe amal ki rahon mein
libas oDhe hue azm ka nikalte hain
KHirad ke des mein tanzim zindagi le kar
bahut hi kam hain jo aise sanwar ke chalte hain
hayat ek safar hai bahut azim safar
gurez-o-jazb mein Duba hua hai har lamha
bahut aziz hai jo fikr kaam aa jae
ki us se baDh ke kahan waqt ka koi hadiya
hayat sud-o-ziyan se nawisht rahti hai
hayat sud-o-ziyan ke jahan ka mehwar hai
kabhi hai dil ka zarar yan kabhi hai jaan ko sakun
kabhi dawa hai kabhi zaKHm-e-dil pe nashtar hai
hayat rah-e-aziyyat hai apni manzil mein
magar ye rah-e-aziyyat tamam hone tak
na jaane kitni umangon ka KHun ho jae
koi to pyas bujhe jashn-e-jam hone tak
(2460) Peoples Rate This