KHwabon KHayalon Ki Apsara
suKHan fareb koi mehrban ki tarah
dayar-e-husn hai duniya ki dastan ki tarah
ye muskuraati hui subd-o-sham-o-shab ki dulhan
dil-o-nazar ke liye sud-e-be-ziyan ki tarah
ye imtizaj-o-zar-e-shirq-o-gharb ka culture
nigah-e-husn liye ishq aashiqan ki tarah
harir-o-resham-o-diba mein rang-e-naz-o-ada
sukun-e-dil ke liye hain qarar-e-jaan ki tarah
ye rang rang ke unwan liye hasin chehre
sanam-kadon mein taKHayyul ke hain butan ki tarah
suDaul jism ki sard-e-rawan sar-e-rahe
chale hain naz se huran-e-asman ki tarah
ye lahki mahki fazaen ye dil-ruba paikar
gulon ke rang mein Dube hue jahan ki tarah
ye rabt-o-raqs-o-tarannum hawa ki lahron mein
qadam qadam pe ada-ha-e-mah-wishan ki tarah
ye jagmagati hui raat ye dahakte kanwal
nujum-o-mah-o-surayya-o-kahkashan ki tarah
ye mere KHwabon-KHayalon ki apsara jis mein
nigah-e-fikr-o-amal tir ki kaman ki tarah
magar watan bhi chhuTa 'daur' dil ki dil mein rahi
ye bambai bhi na ho KHwab-e-digaran ki tarah
(2702) Peoples Rate This