Apnon Ke Sitam Yaad Na Ghairon Ki Jafa Yaad

apnon ke sitam yaad na ghairon ki jafa yaad

wo hans ke zara bole to kuchh bhi na raha yaad

kya lutf uThaega jahan-e-guzaran ka

wo shaKHs ki jis shaKHs ko rahti ho qaza yaad

hum kag uDa dete hain botal ka usi waqt

garmi mein bhi aa jati hai jab kali ghaTa yaad

mahshar mein bhi hum teri shikayat na karenge

aa jaegi us din bhi hamein shart-e-wafa yaad

pi li to KHuda ek tamasha nazar aaya

aaya bhi to aaya hamein kis waqt KHuda yaad

allah tera shukr ki ummid-e-karam hai

allah tera shukr ki us ne bhi kiya yaad

kal tak tere bais main use bhula hua tha

kyun aane laga phir se mujhe aaj KHuda yaad

(1019) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apnon Ke Sitam Yaad Na Ghairon Ki Jafa Yaad In English By Famous Poet Davarka Das Shola. Apnon Ke Sitam Yaad Na Ghairon Ki Jafa Yaad is written by Davarka Das Shola. Read famous Poem Apnon Ke Sitam Yaad Na Ghairon Ki Jafa Yaad for youth and Student by Davarka Das Shola. Free Download Apnon Ke Sitam Yaad Na Ghairon Ki Jafa Yaad in PDF.