Dekh Jurm-o-saza Ki Baat Na Kar

dekh jurm-o-saza ki baat na kar

mai-kade mein KHuda ki baat na kar

main to be-mehriyon ka aadi hun

mujh se mehr-o-wafa ki baat na kar

shauq-e-be-muddaa ka mara hun

shauq-e-be-muddaa ki baat na kar

wo to muddat hui ki TuT gaya

mere dast-e-dua ki baat na kar

jo nahin iKHtiyar mein mere

us but be-wafa ki baat na kar

ishq ki intiha ko dekh zara

ishq ki ibtida ki baat na kar

kya mila fikr ki rasai se

meri fikr-e-rasa ki baat na kar

is ki taqdir mein KHarabi thi

is dil-e-mubtala ki baat na kar

jo bhi hona tha ho gaya 'shoala'

karam-e-naKHuda ki baat na kar

(907) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekh Jurm-o-saza Ki Baat Na Kar In English By Famous Poet Davarka Das Shola. Dekh Jurm-o-saza Ki Baat Na Kar is written by Davarka Das Shola. Read famous Poem Dekh Jurm-o-saza Ki Baat Na Kar for youth and Student by Davarka Das Shola. Free Download Dekh Jurm-o-saza Ki Baat Na Kar in PDF.