Ek Rahzan Ko Amir-e-karwan Samjha Tha Main

ek rahzan ko amir-e-karwan samjha tha main

apni bad-baKHti ko manzil ka nishan samjha tha main

teri masumi ke sadqe meri mahrumi ki KHair

ai ki tujh ko surat-e-aram-e-jaan samjha tha main

dushman-e-dil dushman-e-din dhushman-e-hosh-o-hawas

hae kis na-mehrban ko mehrban samjha tha main

dost ka dar aa gaya to KHud-baKHud jhukne lagi

jis jabin ko be-niyaz-e-astan samjha tha main

qafile ka qafila hi rah mein gum kar diya

tujh ko to zalim dalil-e-rah-rawan samjha tha main

mere dil mein aa ke baiThe aur yahin ke ho gae

aap ko to yusuf-e-be-karwan samjha tha main

ek darogh-e-maslahat-amez tha tera suluk

ye haqiqat thi magar ye bhi kahan samjha tha main

zindagi inam-e-qudrat hi sahi lekin ise

kya ghalat samjha agar yar-e-garan samjha tha main

pher tha qismat ka wo chakkar tha mere panw ka

jis ko 'shoala' gardish-e-haft-asman samjha tha main

(910) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Rahzan Ko Amir-e-karwan Samjha Tha Main In English By Famous Poet Davarka Das Shola. Ek Rahzan Ko Amir-e-karwan Samjha Tha Main is written by Davarka Das Shola. Read famous Poem Ek Rahzan Ko Amir-e-karwan Samjha Tha Main for youth and Student by Davarka Das Shola. Free Download Ek Rahzan Ko Amir-e-karwan Samjha Tha Main in PDF.