Insan Ba-yak Nigah Bura Bhi Bhala Bhi Hai

insan ba-yak nigah bura bhi bhala bhi hai

yani wo musht-e-KHak to hai kimiya bhi hai

ai gham-nasib kis se hai mumkin tera ilaj

ai bad-nasib tere maraz ki dawa bhi hai

kyun kar kahen ki jis ko KHudai na thi qubul

wo be-niyaz aap ke dar ka gada bhi hai

tere wajud se bhala inkar ho kise

ai tu ki zarre zarre mein jalwa-numa bhi hai

banda-nawaziyon pe na itraiye bahut

banda-nawaz aap se baDh kar KHuda bhi hai

shoala se dur rahiye ki shair sahi magar

ziddi hai bewaquf hai dil ka bura bhi hai

(860) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Insan Ba-yak Nigah Bura Bhi Bhala Bhi Hai In English By Famous Poet Davarka Das Shola. Insan Ba-yak Nigah Bura Bhi Bhala Bhi Hai is written by Davarka Das Shola. Read famous Poem Insan Ba-yak Nigah Bura Bhi Bhala Bhi Hai for youth and Student by Davarka Das Shola. Free Download Insan Ba-yak Nigah Bura Bhi Bhala Bhi Hai in PDF.