Meri Be-qarari Meri Aah-o-zari Ye Wahshat Nahin Hai To Phir Aur Kya Hai

meri be-qarari meri aah-o-zari ye wahshat nahin hai to phir aur kya hai

pareshan to rahna magar kuchh na kahna mohabbat nahin hai to phir aur kya hai

gham-e-zindagi nala-e-subh-gahi mere shaiKH sahab ki wahi tabahi

agar un ke hote wajud-e-ilahi haqiqat nahin hai to phir aur kya hai

teri KHud-pasandi meri waza-dari teri be-niyazi meri dost-dari

junun-e-murawwat ba-har-rang tari musibat nahin hai to phir aur kya hai

gharibon ko bad-haal-o-majbur rakhna unhen fikrmand aur ranjur rakhna

unhen apna kahna magar dur rakhna ye hikmat nahin hai to phir aur kya hai

teri rah mein har qadam jaan dena musibat bhi aae to sar apne lena

mohabbat ki kashti ba-har-haal khena rifaqat nahin hai to phir aur kya hai

(960) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Be-qarari Meri Aah-o-zari Ye Wahshat Nahin Hai To Phir Aur Kya Hai In English By Famous Poet Davarka Das Shola. Meri Be-qarari Meri Aah-o-zari Ye Wahshat Nahin Hai To Phir Aur Kya Hai is written by Davarka Das Shola. Read famous Poem Meri Be-qarari Meri Aah-o-zari Ye Wahshat Nahin Hai To Phir Aur Kya Hai for youth and Student by Davarka Das Shola. Free Download Meri Be-qarari Meri Aah-o-zari Ye Wahshat Nahin Hai To Phir Aur Kya Hai in PDF.